Showing posts with label h: things.....you must read.. Show all posts
Showing posts with label h: things.....you must read.. Show all posts

Friday, February 18, 2011

Boys awesome reasons.

. . . . . . . . . . . . .




Huh !!
Bahut sah liya..
Ab nahi saha jata..
Yar hum ladko ki b life hoti hai..
Ab har baar ladkiya acche number se india me TOP kar rahi hai to ..
Esme hum ladko ka kya kasoor..
Hum b enshaan hai yaar..
Lekin..
Aaj to batana hi hoga hum ladko ka exam me fail hone ja reason..
Aaj succhai ko duniya k saamne aana hi hoga.
Ab chup na baithenge hum..
Ek-ek din..
Ek-ek ghante ka hisaab denge hum..

so Exam me fail hone ki wajah kya hai?

Sidha sa jawab he..

1 sal ke 365 din hote he.

Roj 8 ghante sone ke.

Yani pure saal ke 122 din.

365-122=243.

Diwali aur samar vacation gino.
61 din.

243-61=182 din.

Usme 52 sunday.

182-52=130 din.

Festival ke 40. College festival k 15 din

130-55=75 din.

Khane pine nahane dhone, hugne mootane ke 3 ghante ke hisab se 46 din..

75-46=29 din.

Roj ke 1 ghante dosto ko bhi to dena padta hai na?
To Uske milakar huye 15 din.

29-15=14 din bache..
Ab ladke 10 din to bimar rahte hai.
So..

14-10=4 din
bache.

Exam ke time bhi t.V dekhna padta hai bhai..
warna mind humare pitaa ji aakar to fresh nhi karenge? Bolo..
So T.V dekhane k 3 din.

4-3=1 din bache..

Yaar..
Ab 1 sal me 1 din hi to birthday ka aata he.
So Ab birth day ke din bhi koi padhta hai kya?...... . .


Ab esme humari kya galti agar hum fail ho gaye.?? huh. . .


Or phir esme galfrnd ko diya times include nhi kiya abi.

Ha! Ha! Ha! Ha! Ha!



. . . . . . . . . . . .

Thursday, December 30, 2010

Dictionarny...

. . . . . . . . .




Dictionary is the only place...
Where death come before life,
Success before work,
Divorce before marriege,
But...
The true thng is that...
A friend alway come befor love.





. . . . . . . . . . .

When she kiss me.

. . . . . . . . . . . ..




I don't know.....
What happen to me,
When she kiss me...
I feel free,
In the sweet evening...
Near to sea shore,
Her touch make me..
Want somethng more,

I'm flying & feeling so high...
And she look at me with smile,
When her soft lips touch mine...
& taste of her warmth saliva like wine,

Warmth of her..
Soft pink toung..
Playing between my lips,
When she gently..
Take my hand..
To her shaking hips,

She taste my lips..
Touch my chicks..
Shaking her hips..
I can't.t..t...t.....?? ? ? ? ? ?
? ? ? ? ?








*i'm sorry for post hea incomplete poem..
N i hope you like n understnd d mean of my poem..
Coz i again tell you i'm nt gud in english language... :-)

Beautifull angel.

. . . . . . . . . . .



Beautifull angel in my life..
I'm happy she become my wife,

At the 1st night she come close to me...
And i feel her slow deep breath,

She is my beautiful soft rose...
Which i can't pluck,

And i kiss her fore head..
Coz she is my luck,

In the dark moon night..
We are on the terrust,

To night my angel with me..
& feel i'm on the everest,

Cold slow wind...
Flowing around us,

But i'm feel only...
Her warmthness,

I hold her hand..
She interwine her finger,

Her sweet fa...? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ?








. . . . . . . . . . . . . .

.

Yaadein. ...

. . . . . . . . . . . . .



"...beete buchpan ki yaade, school colledge ki baate, dosto ka ladna-jhagadna..
Acchi-buri yaade..
Ye subhi baate hum subko ko yaad aati hai...
Aaj hum sub bade ho gaye..
Paise kamaane ki chaah ne..
Sapno ko pura karne ki betaabi ne..
Duriyo ne, majburiyo ne hume kaafi badal diya..
Lekin khud ko asali ehsaash tab hota hai..
Jab hum akele me,
Kabi bheed me rahkar b..
Apne buchpan ko yaad karte hai..
Un yaado ki..
Un palo ki chaahat hume khalipan me le aati hai..

Tab waakai ye pata chalta hai,
Ki hum nahi...
Humare aas paas ka samay badal gaya hai,
Log badal gaye hai,
Cheeze badal gayi hai,
Dil to aaj b wahi thahra hai..
Jaha dosto ki bheed hoti thi,
Jaha school lunch time me haste-jhagadte the,
Jaha galiyo me khelte the...
Khair...
Aapki tarah maine b apne buchpan ko bahut yaad kiya..
Lekin yaado k alawa..
Aapke paas..
Or mere paas kuch b nahi rahta..
Or tab ye duniya..
Ye sapne..
Ye paise..
Sub be-matlab ki lagti hai...







"Phir se bhule-bishare...
Beete lamho ke...
Bikhare yaado se bhare..
Maine kuch panne khole hai,
Kuch baate.....
Kuch mushkurahat.....
Kuch aanshu.....
Kuch sharaarat....
Haste,rote,jhagadte chehare....
Kuch pal....
Kuch ahshaashe...
Wo din....wo raate...
Wo pyaari-pyaari mulaqate...
Ghanto hoti, na jaane kitani baate...
Bahut yaad aate hai...
Dil ka...
Na jaane kaun sa kona...
Ek meetha dard se bhar gaya.,
Un lamho k ehsaaso se..
Jo mujhe tanha kar gaya."








* my frnds n readers...
Ye poem maine 3 bade-bade parts me likhe hai..
Jinme se ek part i hope apko pasand aya ho !





. . . . . . . . . .

Meanings of F.R.I.E.N.D.

, . . . . . . . . . .



Means of F.R.I.E.N.D.




F : Field of love..
R : Root of joy..
I : Island of god..
E : End of sorrow..
N : Name of hope..
D : Door of understanding..


. . . . . . . . . .


Friend in one..

Who (F)ind you in a (R)ush of people,
(I)nspires you to do somethings in life,
Cath you (E)motions and (N)ever leaves you till (D)eath....


. . . . . . . . . . . .


F : frndly,forgivining,fantastic,
R : respecting,reliable,real,
I : intimate,intelligent,illuminating,
E : eventful,encouraging,energetic,
N : nice,nature,non-condeming,
D : dear,dedicated,divine,


. . . . . . . . . . . . .


My fav.mean..


F : Few
R : Relation
I : IN
E : Earth
N : Never
D : Die. . . . . . . . :-)








* all above meaning send me by my all known-unknown online friends...
Thank to all of you. Muuaah !! :-)
I hope you like what my friends say about word FRIEND.



. . . . . . . . . . . . . . .

Monday, December 27, 2010

Khusbu jaise log...

. . . . . . . . . . .





Khusbu jaise log mile afsaane me..
Ek purana khat mila anjaane me,

Jana kishka jikar hai es afsaane me..
Dard maje leta hai jo duharaane me,

Shaam ke saaye balisto se naape hai..
Chaand ne kitani der laga di aane me,

Raat guzarte shaayad thora waqt lage..
Jara si dhoop de unhe mere paimaane me,

Din par dastak dene ye kaun aaya hai..
Kishki aahat sunta hai viraane me.






* Gulzar sahab ki liki lines waakai kamaal ki hai..
My favourite !! :-)



. . . . . . . . . . . . . .

Ghadi-ghadi badalti hai...

. . . . . . . . . . . . . .




Ghadi-ghadi badalti hai..
Zindagi ki raahe,
Kyu chutati jati hai..
Khusiyo ki baanhe,
Koi thame hath mera..
Le chale door kahi kinaare,
Jaha jagmagate ho..
Jhilmilate ho..
Khusiyo ke sitaare,
Mayush baitha hu..
Main ek aas tham ke,
Koi mil jaaye mujhe..
Zindagi ke naam pe.






. . . . . . . . . . . . .

Kishi k aane ki. . . .

. . . . . . . . . . .




Kishi k aane ki ummeed par..
Kai soch ubhar kar aaye,

Waqt-bewaqt ke uljhano me b..
Wo chehra jhalak sa jaaye,

Haqikat k khule aashma me..
Koi khwaab apne pankh laharaaye,

Phir b ek ummeed me hu..
Koi umar bhar k liye mil jaaye.






. . . . . . . . . . . . .

Ye duniyaa

. . . , . . . . . . . . . .




Ye duniyaa bhi badi ajeeb bashti hai..
Kahi eshk par zindagi kurbaan hai..
To kahi par ye eshk hi sashti hai..
Gal chuki hai lakadiya, tut chuka hai patwaar..
Arey koi to samjhaaye ye kaisi kashti hai..
Dard hai, dhoka hai, sub ne mil k nochaa hai..
Phir b thaamate wahi rassi hai.




. . . . . . . . . .

My Shaayari.

. . . . . . . . . .






Kishi se dil na laga lena..
Ishk kabhi kamyaab nahi hota,
Aankho ko aanshu dil ko dard milega..
Or wafaa ka koi hisaab nahi hota..





Mohabbat na karna yaaro..
Ye dil ko jala kar rakh kar deta hai,
Tanha hi sahi, guzaar dena zindagi..
Warna ye tanhaai bhi barbaad kar deta hai,




. . . . . . . . . . . . . .

Meri shayari.

. . . . . . . . . . . . .



Ek aaina tuta..
Tut gaye aashiyaane,
Tut gaye mere kai..
Dil ke armaane,
Wo wafaa hai jhootha..
Jhoothe hai deewane,
En hatho me ab..
Tham gaye paimaane.





. . . . . . . . . . . .

Sunday, December 26, 2010

Khud se meri baat. . . . .

. . . . . . . .. . . .





Kuch mahine pahle ki baat hai, roz ki tarah us raat b main ghar k chat par chaand ko dekhane gaya tha..,
Mujhe chaand ko baadalo k beach tairate dekhna kafi pasand hai..
Aisa lagta tha jaise wo mujhse hash hash k baat karti hai,
Phir baadalo me chup jati..
Aisa ghanto tak hota rahta tha or us chaand k bahaane,
Main na jaane kin khyaalo me kho jaya karta tha.
Lekin wo raat kuch alag thi,
Na jane kyu dil khush nahi tha..
Or main wapas kamre me chala gaya..
Or diary likhne laga..
Kyu ki main or akelepan ko nahi sah sakta tha..




"kal raat ki baat hai,
Adhure chaand ki chandani raat me,
Thand hawaaye bah rahi thi..
Or main khyalo me soya hua sa..
Tabhi ek jani pehchani si,
Yaado ki khusbu mere kareeb se guzar gayi..
Maine apni nazare chat se door tak daudaai..
Lekin...
Gharo k chamaktiyo khidkiyo k alawa..
Andhere me kuch nazar na aayi..
Ab to dil bhi nahi karta..
Us chaand ko dekhne ka,
Jo khud hi baadlo k piche..
Mujh se chip raha hai.
Tabhi maine apni nazare jhukaai,
Chaand ki roshani par meri parchaai..
Or usi k piche piche..
Maine apne kadam badhaye..
Main apne kamare me pahuncha..
Andhere me baitha..
Khud ko samjhata raha..
Zindagi me ye sub to,
Aata jata raha..
Kabhi hotho ko hanshi,
To kabhi palko ko aashu bhata raha..
Khair...
Ye to such hai..
Or waise bhi..
Zindagi me to ye sub hona hi hai.
Kuch pa kar kuch khona hi hai."




.. . . . . . . .

main or mera MAIKHANA. . . .

. . . . . . . . . . . . ...




(1)
Agar hai koi..
Apno se anjana,
To us shaksh ka..
Hai mere paas ana,
Aesi cheez hu main..
Jiska kaam hai behlana,
Kyu ki......
Mera naam hai MAIKHANA.(3)



(2)
Gum shum shaant..
Udas hu main,
Gum shum shaant..
Udas paimana,
Gum shum shaant..
Udas hai dil,
Gum shum shaant..
Udasi se pilana,
Logo ki mehfil se to to...
Ro padta ye dil deewana,
Aise me tanhaai sa..
Saath deti hai MAIKHANA.(8)



(3)
Hath me majburi, liye peit me aag..
Ye bhi hai ek deewana,
Jagah-jagah, ghat-ghat par..
Dhunde ye tutaa paimana,
Kuch hath laga to upar wala..
Nahi to phir ye jamana,
Rukhi-sukhi hai chalti enki..
Bin mehfil MAIKHANA.(33)






* MAIKHANA par abtak maine kareeb 30 se jyada poem likhi hai..jiske jariye zindagi k alag alag pehaluo ki baate kahi hai..
Or ye MAIKHANA mera khud ka original collection hai jiske 3 poem yaha aap padh chuke hai. I hope you like my work :-) . . . .





. . . . . . . . . . .

Aankho se kaho. . .

. . . . . . . .


Aakho se kaho..
Pyar ka andaaz na badle,
Saansho se kaho..
Dard ka saaj na badle,

Aayega kabhi pyar ka mausham bhi kisi roz..
Dhadkan se kaho..
Rooh ka humraaz na badle,

Yu sochna or jaagna kishmat me hai din raat..
Yaado se kaho..
Pyar ki parwaaz na badle,

Milte hai door ja kar dariya k do kinaare..
Chaahat se kaho..
Safar ka andaaz na badle,

Sunte hai ek chaap me unke aane ki awaaz..
Paaow se kaho..
Chalne ka andaaz na badle.




. . . . . . . . . . . .

Nirvirodh. . . .

. . . . . . . . .



Such sabhi ka kahaa nahi hota..
Haadasa har dafaa nahi hota,

Jakh-e-dil phir haraa nahi hota..
Aaj kal wo khafaa nahi hota,

Saansh lene ka mol lete hai..
Esse koi nafaa nahi hota,

Zindagi Se kat ke rah jaaye..
Wo falsafaa nahi hota,

Dard ki baat phir hi kije..
Dard dil se judaa nahi hota,

Umar bhi NIRVIRODH rah ke jiye..
Warna duniyaa me kya nahi hota.





* tara dutt NIRVIRODH ji ki likhe ye lines mujhe kaafi pasand hai...

. . . . . . . . . . . . .

Ye ubalate huye jazabaat.. . .

. . . . . . . . . .



Ye ubalate hue jazbaat kaha le jaye..
Jung karte hue nagmaat kaha le jaye,

Roz aate hai naye sabzbaag aankho me..
Ye siyasat ke tilismaat kaha le jaye,

Ameer mulk ke muflis jamaat se pucho..
Unke hisse ki ghani raat kaha le jaaye,

Hum gunahgaar hai, humne tumhe chuna rahbar..
Ab zamaane ke sawalaat kaha le jaye,

Sari duniyaa k liye maangle duaa lekin..
Ghar k uljhe halaat kaha le jaye.





* virender vats ji ki likhi ye lines behad meaninfull hai, jo mujhe behad pasand hai. Thank virender ji.


. . . . . . . . . . . . .

Khush rah ya bahut udaas rah..

. . . . . . . ,



Khush rahe ya bahut udaas rahe..
Zindagi tere aas-paas rahe,

Chaand en badaliyo se nikalegaa..
Koi aayega dil ko aas rahe,

Hum muhabbat k phool hai sayad..
Koi kanta bhi aas-paas rahe,

Mere seene me estarah bash ja..
Meri saanso me teri baash rahe,

Hum tum ek sath khoob hanse..
Or phir der tak udaas rahe.





* Bashir badr sahab ki likhi ye lines mujhe ek paper se mili hai.
Jo mujhe kafi pasand hai.


. . . . . . . . . . . . . . .

Door tak. . . .

. . . . . . . . . ,






Door tak ek khwaab dekha hai maine...
Har khwaab me tujhko socha hai maine,

Dar lagta hai ab khud me chupi tanhaaiyo se...
Har pal tanhaai me tujhko khoja hai maine,

Aksar teri yaado me har pal lamha roya hai maine...
Or aashuo se baahe apni bhigo ya hai maine,

Yu to zindagi guzar.r..r...r.....r ? ? ? ? ? ? ? ? ?





* i am sorry my friends and reader..
I can't post this poem hea..
Coz i love this poem n vry close to my heart..
And i dont want ki...meri pasandida poem ko koi mere blog se chura le.
I hope kuch line padkar aapko accha laga hoga..
. . . . Thank u. N again sorry. Kaan pakad kar !!




. . . . . . . . . . .

Friday, December 24, 2010

Hindi SMS jokes...

. . . . ,




Tumhare Paas 5 Wajah Ho Sakti Hai,
Muje SMS Na Karne Ki,

1 Time Nai
2 Free SMS Nai
3 Balance Nai
4 Network Nai
5 Soye SHER Ko Jagane Ki Himmat Nai.

. . . . .


Vidaai K time DULHE Ka Mobile Baja..
or DULHAN Ne zor se Thapad Mar Diya. . .

Pucho kyu?

Ring Thi. .

Dil Me Chupake Pyar Ka Arman Le Chale
Hum Aaj Apni Maut Ka Samaan Le Chale.

. . . . .

Taj Mahel Ki Deewaro Par Aaj Bhi Likha He


Wah ! Wah ! Wah !

Taj Mahel Ki Deewaro Par Aaj Bhi Likha He




"Yha Thookna Mna He,!"

. . . . . .


Girl: Kya Tum Mere Aashiq Ho..?

Boy: Ha,

Girl: To Phir Mujhe 100 rupey Ka Recharge Kar Do,


Boy: Tumhara Aashiq Hu janeman..
"Vodafone Walo Ka DAMAAD NAHI !! " :@:@

. . . . . .

HOSPiTAL attendance..

LANGDA
Present sir,

BEHRA
Present sir,

ANDHA
Present sir,

MENTAL !!
(No answr)

MENTAL !!
(No answr)

MENTAL. . . . .




*abey oh !!
Mera blog baad me pad lena,
Pahle apna attendence lagwa le,
varna apsent Lag jayegi...

ha! Ha! Ha! Ha! Ha! Ha!

. . . . . . .

Gubber singh :
arey oh sambha!!

Sambha: ji sardaar..

Gubber singh : ye kaun log hai re, jo sms k jawab nahi dete re?

Sambha: Sardaar ye wo log hai jo miss call karne k baad b balance check karte he.




Ha! Ha! Ha! Ha! Ha!



. . . . . . . . . .