. . . . . . . . . . . . ...
(1)
Agar hai koi..
Apno se anjana,
To us shaksh ka..
Hai mere paas ana,
Aesi cheez hu main..
Jiska kaam hai behlana,
Kyu ki......
Mera naam hai MAIKHANA.(3)
(2)
Gum shum shaant..
Udas hu main,
Gum shum shaant..
Udas paimana,
Gum shum shaant..
Udas hai dil,
Gum shum shaant..
Udasi se pilana,
Logo ki mehfil se to to...
Ro padta ye dil deewana,
Aise me tanhaai sa..
Saath deti hai MAIKHANA.(8)
(3)
Hath me majburi, liye peit me aag..
Ye bhi hai ek deewana,
Jagah-jagah, ghat-ghat par..
Dhunde ye tutaa paimana,
Kuch hath laga to upar wala..
Nahi to phir ye jamana,
Rukhi-sukhi hai chalti enki..
Bin mehfil MAIKHANA.(33)
* MAIKHANA par abtak maine kareeb 30 se jyada poem likhi hai..jiske jariye zindagi k alag alag pehaluo ki baate kahi hai..
Or ye MAIKHANA mera khud ka original collection hai jiske 3 poem yaha aap padh chuke hai. I hope you like my work :-) . . . .
. . . . . . . . . . .