Thursday, December 30, 2010

Yaadein. ...

. . . . . . . . . . . . .



"...beete buchpan ki yaade, school colledge ki baate, dosto ka ladna-jhagadna..
Acchi-buri yaade..
Ye subhi baate hum subko ko yaad aati hai...
Aaj hum sub bade ho gaye..
Paise kamaane ki chaah ne..
Sapno ko pura karne ki betaabi ne..
Duriyo ne, majburiyo ne hume kaafi badal diya..
Lekin khud ko asali ehsaash tab hota hai..
Jab hum akele me,
Kabi bheed me rahkar b..
Apne buchpan ko yaad karte hai..
Un yaado ki..
Un palo ki chaahat hume khalipan me le aati hai..

Tab waakai ye pata chalta hai,
Ki hum nahi...
Humare aas paas ka samay badal gaya hai,
Log badal gaye hai,
Cheeze badal gayi hai,
Dil to aaj b wahi thahra hai..
Jaha dosto ki bheed hoti thi,
Jaha school lunch time me haste-jhagadte the,
Jaha galiyo me khelte the...
Khair...
Aapki tarah maine b apne buchpan ko bahut yaad kiya..
Lekin yaado k alawa..
Aapke paas..
Or mere paas kuch b nahi rahta..
Or tab ye duniya..
Ye sapne..
Ye paise..
Sub be-matlab ki lagti hai...







"Phir se bhule-bishare...
Beete lamho ke...
Bikhare yaado se bhare..
Maine kuch panne khole hai,
Kuch baate.....
Kuch mushkurahat.....
Kuch aanshu.....
Kuch sharaarat....
Haste,rote,jhagadte chehare....
Kuch pal....
Kuch ahshaashe...
Wo din....wo raate...
Wo pyaari-pyaari mulaqate...
Ghanto hoti, na jaane kitani baate...
Bahut yaad aate hai...
Dil ka...
Na jaane kaun sa kona...
Ek meetha dard se bhar gaya.,
Un lamho k ehsaaso se..
Jo mujhe tanha kar gaya."








* my frnds n readers...
Ye poem maine 3 bade-bade parts me likhe hai..
Jinme se ek part i hope apko pasand aya ho !





. . . . . . . . . .