Showing posts with label k: my hindi collection.. Show all posts
Showing posts with label k: my hindi collection.. Show all posts

Friday, February 18, 2011

Husn aur ishk.

. . . . . . . . . . . .



Husn aur Ishq dono dost the.




Ek Bar Unme Jhagda Ho Gaya.




Husn Ne Ishq Ki Ankhen Noch Li.




Aur?




Tabhi Se 'Ishq' Andha AUR 'Husn' Katil Ho Gaya..




. . . . . . . . . .

Chaaha tha jishe..

. . . . . . . . . . . . . .


Chaha tha jise wo mila hi nhi,

lakh koshish ki lekin ye fasla mitta hi nhi,

Khuda se jholi fela ke manga tha use,

Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nhi,

Hr ek se pucha uske milne ka sbb,

Sbhi ne btya wo tere liye bna hi nhi,

Kitni shiddhat se chaha tha or wo kisi or ka ho gaya,

shayad is jahaa me wafaa ka kuch silaa hi nhi,

mere hum nashin mere hum nawaa,

ye duaa hai koi gilaa nhi.

use uski zindgi me wo sukoon mile jo mujhe kabi mila hi nhi.






. . . . . . . . . . .


Dev Dil se. . . .


This poem is really very close to my heart..
Jab jab maine ese pada hai..
Har baar esne meri yaado ko jagaya hai..
Hum cheezo ko aksar bhulane ki kosish karte rahte hai..
Lekin cheeze aksar kisi shayari,gazal,geet,kisso kahaniyo ya kuch yu hi be-matalab ki baato ke bahaane hume yaad aati rahti hai..
Or bus yahi ehsaash dilaati hai..
Ki humse door jamana na jaane kaha rah gaya..
Or main apne dard k sang jaha tanha tha,
Bus Aaj bhi wahi rah gaya..




Khair m really sorry.
Main jo emotinal baate kar k aapko bore kar raha hu.



Any way..
Kaisa laga ye poem?

Yaar comment to kar do..

Ha ha ha ha ha ha ha :-) :-D




. . . . . . . . . . .

Boys awesome reasons.

. . . . . . . . . . . . .




Huh !!
Bahut sah liya..
Ab nahi saha jata..
Yar hum ladko ki b life hoti hai..
Ab har baar ladkiya acche number se india me TOP kar rahi hai to ..
Esme hum ladko ka kya kasoor..
Hum b enshaan hai yaar..
Lekin..
Aaj to batana hi hoga hum ladko ka exam me fail hone ja reason..
Aaj succhai ko duniya k saamne aana hi hoga.
Ab chup na baithenge hum..
Ek-ek din..
Ek-ek ghante ka hisaab denge hum..

so Exam me fail hone ki wajah kya hai?

Sidha sa jawab he..

1 sal ke 365 din hote he.

Roj 8 ghante sone ke.

Yani pure saal ke 122 din.

365-122=243.

Diwali aur samar vacation gino.
61 din.

243-61=182 din.

Usme 52 sunday.

182-52=130 din.

Festival ke 40. College festival k 15 din

130-55=75 din.

Khane pine nahane dhone, hugne mootane ke 3 ghante ke hisab se 46 din..

75-46=29 din.

Roj ke 1 ghante dosto ko bhi to dena padta hai na?
To Uske milakar huye 15 din.

29-15=14 din bache..
Ab ladke 10 din to bimar rahte hai.
So..

14-10=4 din
bache.

Exam ke time bhi t.V dekhna padta hai bhai..
warna mind humare pitaa ji aakar to fresh nhi karenge? Bolo..
So T.V dekhane k 3 din.

4-3=1 din bache..

Yaar..
Ab 1 sal me 1 din hi to birthday ka aata he.
So Ab birth day ke din bhi koi padhta hai kya?...... . .


Ab esme humari kya galti agar hum fail ho gaye.?? huh. . .


Or phir esme galfrnd ko diya times include nhi kiya abi.

Ha! Ha! Ha! Ha! Ha!



. . . . . . . . . . . .

Monday, December 27, 2010

Khusbu jaise log...

. . . . . . . . . . .





Khusbu jaise log mile afsaane me..
Ek purana khat mila anjaane me,

Jana kishka jikar hai es afsaane me..
Dard maje leta hai jo duharaane me,

Shaam ke saaye balisto se naape hai..
Chaand ne kitani der laga di aane me,

Raat guzarte shaayad thora waqt lage..
Jara si dhoop de unhe mere paimaane me,

Din par dastak dene ye kaun aaya hai..
Kishki aahat sunta hai viraane me.






* Gulzar sahab ki liki lines waakai kamaal ki hai..
My favourite !! :-)



. . . . . . . . . . . . . .

Dhadakan..

. . . . . . . . . . .





Dhadkan me dil ki sadaa tum the..
Saansho me shamil lekin judaa tum the,
Na manga kuch or khuda se..
Maine jab hath uthaya to meri duaa tum the.




* i like this line... :-)

Talaash..

. . . . . . .

Talaash meri thi or bhatak wo raha tha..
Dil mera tha or dhadak wo raha tha.
Pyaar ka taalluk bada ajeeb hota hai..
Pyaas meri thi or sishak wo raha tha.






* i like ths line...:-)



. . . . . . . . . . .

Sunday, December 26, 2010

Aankho se kaho. . .

. . . . . . . .


Aakho se kaho..
Pyar ka andaaz na badle,
Saansho se kaho..
Dard ka saaj na badle,

Aayega kabhi pyar ka mausham bhi kisi roz..
Dhadkan se kaho..
Rooh ka humraaz na badle,

Yu sochna or jaagna kishmat me hai din raat..
Yaado se kaho..
Pyar ki parwaaz na badle,

Milte hai door ja kar dariya k do kinaare..
Chaahat se kaho..
Safar ka andaaz na badle,

Sunte hai ek chaap me unke aane ki awaaz..
Paaow se kaho..
Chalne ka andaaz na badle.




. . . . . . . . . . . .

Nirvirodh. . . .

. . . . . . . . .



Such sabhi ka kahaa nahi hota..
Haadasa har dafaa nahi hota,

Jakh-e-dil phir haraa nahi hota..
Aaj kal wo khafaa nahi hota,

Saansh lene ka mol lete hai..
Esse koi nafaa nahi hota,

Zindagi Se kat ke rah jaaye..
Wo falsafaa nahi hota,

Dard ki baat phir hi kije..
Dard dil se judaa nahi hota,

Umar bhi NIRVIRODH rah ke jiye..
Warna duniyaa me kya nahi hota.





* tara dutt NIRVIRODH ji ki likhe ye lines mujhe kaafi pasand hai...

. . . . . . . . . . . . .

Ye ubalate huye jazabaat.. . .

. . . . . . . . . .



Ye ubalate hue jazbaat kaha le jaye..
Jung karte hue nagmaat kaha le jaye,

Roz aate hai naye sabzbaag aankho me..
Ye siyasat ke tilismaat kaha le jaye,

Ameer mulk ke muflis jamaat se pucho..
Unke hisse ki ghani raat kaha le jaaye,

Hum gunahgaar hai, humne tumhe chuna rahbar..
Ab zamaane ke sawalaat kaha le jaye,

Sari duniyaa k liye maangle duaa lekin..
Ghar k uljhe halaat kaha le jaye.





* virender vats ji ki likhi ye lines behad meaninfull hai, jo mujhe behad pasand hai. Thank virender ji.


. . . . . . . . . . . . .

Khush rah ya bahut udaas rah..

. . . . . . . ,



Khush rahe ya bahut udaas rahe..
Zindagi tere aas-paas rahe,

Chaand en badaliyo se nikalegaa..
Koi aayega dil ko aas rahe,

Hum muhabbat k phool hai sayad..
Koi kanta bhi aas-paas rahe,

Mere seene me estarah bash ja..
Meri saanso me teri baash rahe,

Hum tum ek sath khoob hanse..
Or phir der tak udaas rahe.





* Bashir badr sahab ki likhi ye lines mujhe ek paper se mili hai.
Jo mujhe kafi pasand hai.


. . . . . . . . . . . . . . .

Shayari..

. . . . . . . .




Asko k girane ki aahat nahi hoti..
Dil k tutane par koi chaahat nahi hoti,
Gar hota khuda ko har dard ka ehsash..
To use yu dard dene ki aadat na hoti.




Jaane kyu jahaa me aisa hota hai..
Khusi jo subko de wahi rota hai.
Umar bhar na nibha sake jo..
Na jane pyar usi se kyu hota hai.




Kyu gilaa kare tumse bewafaai ka..
Hum khud hi laaye the ye mausham tanhaai ka,
Tum to milo door the humse..
Hum hi peecha karte rahe tumhari parchai ka.




. . . . . . . . . . .

Shayari. . . . .

. . . . . . . .




Tinke-tinke se pal bana..
Pal pal se milkar lamha,
Lamho ne mil kar waqt ko buna..
Har waqt koi kisi k sath nahi rehta.
Esliye eshwar ne yaado ko chuna.




Jaan se bhi jyada unhe pyaar kiya karte the..
Yaad unhe din raat kiya karte the,
Ab un raaho se guzra bhi nahi jata..
Jaha baith kar unka intizaar kiya karte the.




Mere dil me tha thikana uska..
Do kadam bhi usse aya na gaya,
Maine pucha kyu toda tune vada mera..
Usne hansh k kaha bus nibhaya na gaya.




. . . . . . . . . . . .

Shayari...

. . . . . . . .




Dil k kareeb aakar jab wo door ho gaye..
Sare haseen khwab choor-choor ho gaye,
Humne wafaa nibhai to badnaamiya mili..
Jo log bewafaa the, wo mashoor gaye.




Jaruri nahi jeene ka sahara ho..
Jaruri nahi jise chahe wo humara ho,
Dubti hai saagar me kai kastiya b..
Jaruri nahi har kashti ka kinara ho.




Hume apni dosti ka hisaab nahi aata..
Palat kar dena koi jawaab nahi ata,
Hum to unki yaado me sote tak nahi..
Or unko sokar bhi khwaab nahi ata.





. . . . . . . . . . . . . .

Shayari.

. . . . . . . .


Ek jara si bhool khata ban gayi..
Meri wafa meri saja ban gayi,
Dil liya or khel kar tod diya..
Humari jaan gayi or unki adaa ban gayi.




Tujh bin zindagi ulfat si lagti hai..
Ek pal ki judaai muddhat si lagti hai,
Pahle nahi, lekin ab sochate hai..
Mujhko har pal teri jarurat si lagti hai.




Unke ek muskurahat ne humare hosh udaa diye..
Hum to hosh me aane hi wale the,
Ki wo phir muskura diye.




. . . . . . . . . . . .

Shaayriyaa...

. . . . . . . .,






Hazaar bar zamana udhar se guzra hai..
Nai-nai si hai kuch teri rah guzar phir b.

. . . . . .

Yu tasalli de raha hu dil bimaar ko..
Jaise ko thame khada hai girti deewar ko,

. . . . . . .

Har shaksh daudta hai yaha bhid ki taraf..
Phir ye bhi chahta hai use rasta mil jaye.

. , . . . . . .

Kish muh se jabaa karti ejhaare-e-pareshani..
Jab tune meri halat surat se na pehchaani.

. . . . . .

Us shaksh k gum ka koi andaza lagaaye..
Jisko kabi rote hue dekha na kisi ne.

. . , . . , . . . . .

Meaningfull Shaayari

. . . . . . . . . .



Dil ki basti bhi badi ajeeb basti hoti hai..
Jo lutane wale ko hi tarasti hai.

. . . . . .

Meri baate meri jhuki-jhuki aankho ne kaha..
Tumse pyaar karke main kahi ka na raha.

. . . . . . . .

Jinke aagan me amiri ka shajar lagta hai. .
Unka har aeib jamaane ko hunar lagta hai.

. . . . . . . . .

Laharo k sath-sath bahut door tak gaye..
Lekin dariya ne guftagu ki ezazat na di.

. . . . . . . . .

Har cheez ka khona bhi badi daulat hai..
Befikri me sona bhi badi daulat hai.



. . . . . . . . . .

Friday, December 24, 2010

Usse kah do. . . . .

. . . . . . . . .





Us se kah do,
mujhe satana chhod de,
dusro ke sath rahkar harpal mujhe jalana chod de.......


ya to kar de inkar mujhse moohbat nahi,
ya gujrte dekh mujhe, paltkar muskurana chhod de...........


na kar bat mujse koi gum nahi hai, yu sunkar awaj meri jharokhe pe ana chhod de........


kar de dil e bayan jo chupa rakh h,yu ìsharo me hal btana chhod de.......


kya irada h bta de mujhe u dosto ko mere kisse sunana chhod de......


hai pasand mujhko jo libas tera,us libas me bar bar ana chhod de.........


na kar yad mujhe beshk tu,u kitabo p nam likhkar mitana chhod de..........







*i love this line..
Likhne wale ne kamaal ka likha hai, mujhe to kafi pasand aayi ye line.


. . . . . . . . .

DOSTI. . . .

. . . . . . . .



Ye dosto ki mehfil..,
Ye rato ko jagna...
Gaaliyan sunke zor se hasna,
phir jutaa leke piche bhagna...
mauka dekhke dost ke galfrnd ko taakna...,
Ek samose mein chaar tukde batna...,
senti hokar dusre ka dimaag chatna...,
pit te hai phir bhi muskuraate hai..,
kharch karna hai par paise chupate hai...,
ye sab ek din kho jayga...,
phir bhi hum muskuraya karenge...,
aur apne dosto ko gaaliya dekar hi bulaya karenge.... Dedicatd to my friends forever...
Missing u all........



*such me yaar. .
Dosti b kya cheez hai..
Life badal deti hai.



. . . . . . . . .

Friday, December 03, 2010

Mat batao hume. . . ,

. . . . . . . . . . . . . .




Mat batao hume, ishk me majaa kya hai...
Mujhse pucho meri rajaa kya hai,
Ishk me to sabhi ashk bahaate hai....
Koi to bataaye saja kya hai.




. . . . . . . . . . . . . .

Zindagi me. . . . .

. . . . . . . . . . . . . .



Zindagi me kuch lamhe khaas ban gaye...
Mile to mulaqaat ban gaye...
Bichade to yaad ban gaye....
Or jo dil se na jaaye,
wo aap ban gaye....




. . . . . . . . . . . . . .