Showing posts with label d: dad's hindi shaayari.. Show all posts
Showing posts with label d: dad's hindi shaayari.. Show all posts

Thursday, December 02, 2010

Shaayari of reality 2.......

Matlab ke liye duniya dhokhebaaz hai...
Apne liye jeeyo ye nara aaj hai.




Gareebo ke hatho ne mahalo ko banaya...
Kya kishmat thi uski jo khud na rah paya.




Bazaar hai ye duniya har cheez yaha bik jaati hai...
Wo chaadar hai daulat har cheez eshme chup jati hai.





"...again my dad write some shayari which tells the reality of this world and today's people...
Specially i like one of last shayari which tell bout power of money and property...
You are wrong or right person..n what you do..its doesnt matter for 80% people..but you have power of money..so everyone good for you..and neva speak angaist you...its reality of today's world...
PAISA BOLTA HAI..
Aap bole ya na bole..."

Shaayari of reality..........

Bazaaro ke kotho par ho raha hai jism ka dhanda...
Bachaa le tu hi upar wale lut raha hai tera banda.




Pyaar karna hai gunaah, kotho pe jana nahi manaa...
Besharmi ki es duniya me, ye kaanoon hai bana.




Wafaai ki keemat nahi, nangaai ki keemat yaha hai...
Enshaan hai jinde magar, murdo jaisa ye jaha hai.




".....i like above of three shayari written by my dad, my dad tell thngs what happen in today's practicle world....i love thngs which show n tells right and truth thngs..."

Shaayari.....

Pal me bhool jaye jo pyaar ki nishaani...
Barbaad ho gayi es shart pe jawaani.




Bada pechidaa hai ishk ka fasaana...
Kitna samjhaau par samjhe na jamana.




Bana na sake hum nashib tera, sub kuch luta kar bhi...
Aaj hum chal diye hai,apne kadmo k nisha mitakar bhi.




. . . . . . . . . . .

shaayaria.......

Dil bechane aya hoon, kharidaar koi aaye...
Es dil ke mol par, pyar de kar jaye.




Jalte hai patange shama par jaakar...
Jiwan gawa baithe prem rog paa kar.




Aashma jab bhi roya, dharati pighal gayi...
Aasiq ke nikale aashu to aag lag gayi.


. . . . . . . . . . . . . .

Sunday, November 28, 2010

Hindi shaayari.....

Likhne waalo ne pyaar ka fasana likha...
Duniya ne kitaabe chapa kar bechnaa sikha.



Gami shaam hai, muhabbat ka kaam hai...
Sharaabi main ban gaya, sathi mera jaam hai.



Duniya k safar me har cheez ka hai taul...
Yaaro pyaar ka bhi hota hai yaha maul.



Hoti nahi hai yaha ab kishi ki b raani...
Jab raste par bikati ho jawaani.