. . . . . . . . . .
Ye ubalate hue jazbaat kaha le jaye..
Jung karte hue nagmaat kaha le jaye,
Roz aate hai naye sabzbaag aankho me..
Ye siyasat ke tilismaat kaha le jaye,
Ameer mulk ke muflis jamaat se pucho..
Unke hisse ki ghani raat kaha le jaaye,
Hum gunahgaar hai, humne tumhe chuna rahbar..
Ab zamaane ke sawalaat kaha le jaye,
Sari duniyaa k liye maangle duaa lekin..
Ghar k uljhe halaat kaha le jaye.
* virender vats ji ki likhi ye lines behad meaninfull hai, jo mujhe behad pasand hai. Thank virender ji.
. . . . . . . . . . . . .