. . . . . . . .
Tinke-tinke se pal bana..
Pal pal se milkar lamha,
Lamho ne mil kar waqt ko buna..
Har waqt koi kisi k sath nahi rehta.
Esliye eshwar ne yaado ko chuna.
Jaan se bhi jyada unhe pyaar kiya karte the..
Yaad unhe din raat kiya karte the,
Ab un raaho se guzra bhi nahi jata..
Jaha baith kar unka intizaar kiya karte the.
Mere dil me tha thikana uska..
Do kadam bhi usse aya na gaya,
Maine pucha kyu toda tune vada mera..
Usne hansh k kaha bus nibhaya na gaya.
. . . . . . . . . . . .