Thursday, December 02, 2010

Be-raham o jalimo....,

Aasuo k nahar ruke...
Palko k kinaare par,
Sadako par pade gareeb...
Hai kinke sahaaro par?
Hai roshani yaha jugo se...
Aashmaa k taaro par,
Julm kyu hota hai...
Har naseeb k maro par?



Be-raham-o-jalimo...
Unke bhi kuch armaan hai,
Such kahta hoon tum haiwaan...
Or wo insaan hai,
Dhokhebaaji or vishwasghat se...
Wo bilkul anjaan hai,
Unki karlo tum puja...
Wo eshwar samaan hai,



Kitna kahu es jamaane se...
Koi kuch sunta nahi,
Subka chaahe jo bhala...
Aesi ye janta nahi,
Swaarth se ye jamaana...
Koi cheez banta nahi,
Kisi ki roti cheen lena...
Kaam ko mahaanta nahi,



Gareeb odh lete hai...
Hatho se kheech kar gagan,
Jeene ke liye unhe...
Milta hai thanda pawan,
Dukh ka har saagar...
Thaam kar baithe unke nayan,
Kavita ka roop de...
Likh kar laya hai BALVAN,





" mujhe apne dad ki ek style pasand hai... Or wo ye ki wo apne jyadatar kavitao ko apne name (balvan) par khatam karte hai.....maine kafi kosish ki apne poem ko es tarah khatam karne ki....but filhaal kosish jaari hai..."