Wednesday, December 01, 2010

Ab to marna hi gavaa lagta hai.....

Ab to marna hi gavaa lagta hai...
Muskurana b bura lagta hai.

Ab to zindagi me rah gaya hu tanha...
Jara si aahat ho to b bura lagta hai.

Sare bazaar ghuma main apno ki talash me...
Jo b milta hai bus khafaa lagta hai,

Ab to jine ka mujhe sauk nahi...
Mar jana hi bhala lagta hai.

Game haale jigar sunau kisko...
Kisi se baat karna b bura lagta hai.

Ab to chain milega jakar shamshaan me...
Duniya k es sehar me rahna b bura lagta hai.