Majhdhaar me hai naiyya...
Bahut door hai kinara.
Dil to dhunde maanjhi...
Najdeek ka sahara.
Patwaar se hai napa babu...
Saagar ka har dhara.
Wahi le chalungaa...
Jaha ho tumhe gawara.
Waha le chalo jaha...
Koi apna mil jaaye.
Jindagi ka koi suhana...
Sapna mil jaaye.
Bhule hue gam kabhi...
Waha yaad na aaye.
Tumhe na malum ho maanjhi...
To pucho, koi to bataaye.
Laakho dil aaye babu...
Subko kinaare laga diya.
Tute hue dil ko maine...
Muhabbat se mila diya.
Par har raahi ne mujhko...
Aaj tak kyu saza diya ?
Kuch paise de mujhe...
Wapas majhdhaar ki or bhaga diya.
Manjil tak pahoonch kar babu...
Tum bhi sayad wahi doge.
Esliye tumne pucha us kinaare...
Bolo maanjhi kya loge.
Saahil tak pahunch kar babu...
Mera intizaar bhi na karoge.
Tumhe aana hoga jaldi to...
Dusra maanjhi bhi dhundh loge.
Pahuncha de maanjhi enko waha...
Jaha enki chaah hai.
Na-samajh duniya na samajhegi...
Wo tere dil ki aah hai.
Gami dil bhi saahil tak pahunch kar...
Karta yaha waha hai.
"BALVAN" kahe tujhse maanjhi...
Majhdhaar hi teri raah hai.
"its my favourite poem written by my dad..its really meaning full, and say many thngs throung a simple story in this poem...
Aksar main khud ko apni life me ek maanjhi ki tarah feel kiya hai jiske dil ka haal mere dad k poem me bataya gaya hai..
This poem really very close to my heart......"