Na luto hume lutane walo...
Luta hai hume hazaaro ne.
Khiza se hum darte nahi...
Luta hai hume bahaaro ne.
Yaha tak aane ka pata...
Diya hume sitaaro ne.
Yeh gaaon bad-nashibo ka hai...
Bataya taqdeer k maaro ne.
Gareeb hai hum yaha...
Hum par kisi ka aitbaar nahi.
Sharafat k alawa...
Apne paas koi rozgaar nahi.
Roti k siwa apne ko...
Kisi se bhi pyaar nahi.
Bhukhe pet ka yaha par...
Hota koi yaar nahi.
Sukhi roti ka tukda...
Humara ek sahara hai.
Uske liye jag chor dena...
Humko aaj gawara hai.
Charo taraf duniya me aaj...
Bhukhe-nango ka nazara hai.
Jitna kama sako kama lo roti...
Aaj humara ye nara hai.
"papa ji ki kavitaaye (poem) humesha kathor succhai par hoti hai...or esliye jyadatar kavitaao me kathor shabdo ka prayog karte hai...jo topic ko or bhaawnao ko...khulkur saamne rakhte hai......."