. . . . . . . . . . . . . .
Chaha tha jise wo mila hi nhi,
lakh koshish ki lekin ye fasla mitta hi nhi,
Khuda se jholi fela ke manga tha use,
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nhi,
Hr ek se pucha uske milne ka sbb,
Sbhi ne btya wo tere liye bna hi nhi,
Kitni shiddhat se chaha tha or wo kisi or ka ho gaya,
shayad is jahaa me wafaa ka kuch silaa hi nhi,
mere hum nashin mere hum nawaa,
ye duaa hai koi gilaa nhi.
use uski zindgi me wo sukoon mile jo mujhe kabi mila hi nhi.
. . . . . . . . . . .
Dev Dil se. . . .
This poem is really very close to my heart..
Jab jab maine ese pada hai..
Har baar esne meri yaado ko jagaya hai..
Hum cheezo ko aksar bhulane ki kosish karte rahte hai..
Lekin cheeze aksar kisi shayari,gazal,geet,kisso kahaniyo ya kuch yu hi be-matalab ki baato ke bahaane hume yaad aati rahti hai..
Or bus yahi ehsaash dilaati hai..
Ki humse door jamana na jaane kaha rah gaya..
Or main apne dard k sang jaha tanha tha,
Bus Aaj bhi wahi rah gaya..
Khair m really sorry.
Main jo emotinal baate kar k aapko bore kar raha hu.
Any way..
Kaisa laga ye poem?
Yaar comment to kar do..
Ha ha ha ha ha ha ha :-) :-D
. . . . . . . . . . .