. . . . . . . . .
Date: 28th august of 2010.
Sayad do din pahle hi maine mocospace join kiya tha..yaha log kafi ajeeb hai..without snap walo se baat hi nahi karte..ya phir such me mujhe dosti karna nahi ata.
Khair...maine apne blog me kisi ladki ka comment dekha..kafi khush hua main ki mere blog me comment aya hai. But uske comment mujhe ye batana chahte the ki ye world,ye log kafi rude or selfish hai...ho sakta hai us ladki k baato me 70 percent dum ho..lekin baki k un 30 percent ka kya? Jo rude nahi hai. Jo selfish nahi hai..jo dusro k dard ko samajhte ho...
Agar kisi 70percent ne 30 percent walo ko hurt kiya..to eska matlab ye to nahi ki hum apne dil k darwaje band kar k baith jaye..eska matlab ye b nahi ki hum b rude se ho jaye..yar its life..or tum estarah k behave se 70 percent walo ko support kar rahe ho...jabki ye mat bhulo ki tum 30 percent me se ek ho..jo life ko samajhte hai. Khud ko khush rakhte hai. Darwaaze dil k khol k baithate hai...kyu ki khusiya or gam hamesha ati jati hai.
Phir ruth kar baithne me apna nuksaan hai...rude rahoge to tum na to pahle 70 percent walo se khud ki security kar rahe ho..na 30 percent walo ko guide kar rahe ho.
Pahle tum khud se haar rahe ho apne aap ko badal kar...:-)
Life tumhe kaise b situation de..
Kabi b khud ko..
Apne nature ko..
Mat badlo..khud ko change mat karo..
Hamesha positive thinking rakho...kyu ki estarah hi log duniya k sath khud ko or life ko jeetate hai.
Or winner bante hai.
Be strong enough to accept the challenges of life,
Dont say to god, why me ??
Instead say, TRY ME ??
Kyu ki kisi cheez k liye khud ko badalna kayarta hai...or tab kya karoge..jab kayarta par b log tumhe hurt karenge?? :-)
. . . . . . . . . . .