Pata nahi...
Kabhi kabhi mujhe kya ho jata hai...
Roz ki tarah main aaj bhi blog ke liye ek mashoor shayar k gazal type kar raha tha...
Wo gazal itni pasand aai..
Ki main b taarifo me shaayari karne lag gaya..
Had to tab ho gayi..
Jab normal si baat b shaayrana andaaz me na jane kaha se dilo dimaag me aane lage.,.
Khair...
Wahi gazal or meri anjaani shaayari yaha b post kar deta hu...
Shayad aapko b pasand aaye..
. . . , . . . . . . . .
"Meer" ko koi kya pehchaane meri basti me...
Sub shaair hai jaane-maane meri basti me,
Aam hue jiske afsaane meri basti me...
Wo main hi hoon, koi na jaane meri basti me,
Rut kya aaye phool khilaane meri basti me...
Hai kashaane-hi-kashaane meri basti me,
Ghul-mil jaane ka kaail har koi hai lekin...
Hai aapas me anjaane meri basti me,
Meri gazalo ke sheidaai ghar-ghar hai lekin...
Kaun hoon me, ye koi na jaane meri basti me,
"...wah ! Wah !!
Aehate raam eslaam sahab ka likha ye gayal kaabil-e-taarif hai...
Mauj ki ek alag khusbu jo daudi thi mujhme...
Wo kahi na kahi chipi thi tujhme,
. . .wow, ek or shaayari bana di humne..
Janaab yahi hota hai har haal me..
Jab dil khush ho kisi ke khyaal me..
Had ho gayi...
Hum apni dil ki baat ya type karna chahte hai...
Uspar b kambakhat hum shaayari banaate hai...
Bus es par or kuch nahi type karunga...
Warna main shaayar paagal ho kar marunga.
Arey ab to bus karo..
Ye shaayari jara kam karo. Huh !!
By the way i love this shaayari...
That why i note down it in my diary...
.. . . . . . . . . . . .