Friday, November 26, 2010

DIL.....jo mujhse toda na gaya.

Kafi din pahle mere ek frnd ne mujhe call kiya
or mujhse ek shayari jaldi se bhejne ko kaha..
Usne mujhse LOVE par behad practicle..
or original shayari likhne ko kaha..
Maine pucha..
Bhai pyaar par practicle shayari kyu chahte ho?
Kyu mujhse itna mehnat karwa rahe ho??
...Usne kaha uski girlfriend ne usse pyaar ka matlab pucha hai..
Or wo practicle shayari se show karna chahta hai,
ki pyaar reality me hai kya??
Mujhe uski ye baat palle nahi padi..

Khair.....
ab ek dosti k naate mujhe uski girlfrnd ka dil apne practicle shayari se todna pada...
Maine use apna original and practicle shayari bheja...


"mohabbat ki kisso ki kitaab hai duniyaa...
Kuch ne banaaye tajmahal, to kuch be-taj hai duniya,
Phir bhi padi or padhai jaa rahi hai ishk ki kitaabe....
Na jaane en kitaabo me kitni abaad or barbaad hai duniya."



...baad me mere frnd ne wapas call kiya or bola..

Bhai kya kar rahe ho tum apni shayari se?

usko to teri shayari bhi badi pasand aayi..
Wo to Kahti hai kaafi such or practicle baat kah di shayari se..
I love this shayari.
Main ye sun kar kafi hasaa or kaha..
Bhai succhi kah raha hu...
maine to puri imaandari se..
dil dukhane wali shayari likhi thi..
Lekin kahte hai na..


"Jab judna hi likha hai rishta tera usse..
To hum todne wale kaun hote hai??. . . . . . . . . . . .

Hala ki uski galfrnd ko aaj tak nahi malum
ki wo shayari meri likhi hui thi,
Na ki mere frnd ki....